Pizza lover to hum sab hain but problem hai local areas me pizza base ya pizza delivery ka na hona. Mere sath bhi yahi problem rehti thi humesha. So i thought ki kyuna is problem ka koi fix solution nikala jaye.
Bahot se log aise bhi hain jinke paas oven nai hai. To isme pareshan hone wali koi baat nahi hai. Har problem ka ek solution hota hai or iska bhi hai :)
Pizza base banana sunne me jitna mushkil kaam lug raha hain banane me usse bhi kha jyada easy hai. Bs kuch simple se steps or humara pizza base ready wo bhi bina oven k.
So don't worry ab aapke or aapke pizza love k beech me ye pizza delivery pizza base oven jaisi koi problem nai aaegi :p
Pizza base banane k liye hume chaheye bus 2 main ingridient maida or yeast..jo har jagah per available hote hain.. Ab agar aap yeast ko lekar worry hain to stop worring now... Ye aapko kisi bhi bakery store per easily available hoga or agar nai to aap online order bhi kar sakte hain... Maine khud bhi isko amazon se he order kiya.
So now stop thinking and start baking :)
INGRIDIENT
All purpose flour - 1 cup
Dry active yeast - 1tsp
Sugar - 1tsp
Oil - 2tsp
Luke warm water - for dough kneeding
METHOD --
Pizza base banane ke liye sabse main ingredient hota hai yeast. So sabse pehle yeast ko activate kar le. Yeast ko activate karne ke liye 2 tsp warm water me sugar or yeast add kar ke mix kar le. Yeast ko mix kar ke 10 minute ke liye side kar de. Agar aap active yeast use ksr rahe hain to direct flour me add kar ke dough bana le.
10 minute ke baad aap dekh sakte hain ki yeast rise hokar size me double ho gya hai or isme bahot sare bubbles aa gye hain. It means ki humara yeast ab activate hai but agar aapka yeast activate nahi hai to is process ko fir se repeat kare because dough banane ke liye yeast ka activate hona bahot jroori hota hai.
Luck warm water ki help se ek sift dough ready kar le. Dough ko hath se achi tarah se tab tak mash kare jab tak ek soft or shiny dough nahi ban jata.
Dough ko oil se brysh kare or ek air tight box me rakh kar 1 hour ke liye warm place per cover kar ke rise hone ke liye rakh de.
After 1 hour dough rise hokar size me double or fluffy and light ho jaega. Agar aapka dough rise nahi hua hai it means ki aapka dough abhi ready nahi hai. Dough ko 30 minutes ka extra time de. Because pizza base banane ke loye dough ka rise hone jroori hota hai.
Ab dough ko box se nikal kar 2-3 minute ke liye fir se goond le. Dough se equal size ke balls bana kar rollar ki help se roll kar le. Ek folk ki help se roti per center or corners me pinch kar de.
Ek nonstick pan ko 2minute ke liye preheat kar le. Ab is preheated pan me roll ki hui roti rakhke or pan ko cover kar de. Lover side ke cook hone ke baad flip kare or uper side se bhi light cook kar le.
Because pizza banate time bhi base cook hota hai so ise jyada cook nahi karna hota hai. Aap upar pic me dekh sakte hain ki humne is base ko kitna cook kiya hai. Is se jyada cook karte hain to pizza banate time base jyada hard ho jaega sometimes base jal bhi jata hai.
Aapka fresh soft and fluffy pizza base is ready. Rap kar ke 2-3 din tak hum ise fridge me storw kar ke rakh sakte hain.
No comments:
Post a Comment