Tuesday, 1 November 2016

KESRI PEDA

Indian festival ho or kisi ke ghar me mithai na bane.. Not possible na. Mere ghar me bhi bahot sari sweets bani thi. Dhanteras se lekar bhaiya dooj tak ke five days sabse bada festival mana jata hai.or idi festival ko calibrate karne ke liye bahot sari mithayi bani.
Unhi mithai me se ek hai kesari peda. Homemade khoya se bane pure healthy sweets ka taste he sabse alag hota hai. Sirf kuch ingredient ke sath bane ye kesri pede banane me bahot he easy or khane me bahot tasty hote hain. Or ise banane me time bhi bahot he kum lgta hai. Aap chahe to ise pack karke diwali gift bhi de sakte hain.

INGREDIENT

Khoya - 200g
Sugar - 60 g
Saffron - 10-12 threads
Cardamom powder - 1/2 tsp
Milk - 2 tsp
Food color - 1 pinch (red/green)
Saffron - for garnish

METHOD --

 
2 tsp  milk ko garam kar ke usme kesar ko soak kar ke rakh de taki kesar ka color achi tarah se milk ke sath mix ho jaye.

Ab ek pan me khoya or kesar milk add karke slow flame per cook kare. Khoya ko 4-5 minute tak continue chalate hue cook kar le.

Khoya ko  cook karne ke baad usme caster sugar or ilaychi powder add karke mix kare or mixture ke jumne wali consistency tak aane tak continue cook kare. Khoya ko slow flame per he cook karna hai otherwise aapka khoya pan se lag sakta hai or jal sakta hai jisse aapke pede ache nai banenge.

Khoya ko cook karne ke baad ek plateme nikal kar faila le or thanda hone ke liyerakh de.mixture ke thoda thunda he kare jyada thunda karne se pede achi shape me nahi banenge.

Mixture ke thunda hone ke baad equal parts pe divide kar ke chote chote pede bana kar plate me alag alag rakh le thunda hone de.

Ek bowl me thoda sa pani lekar ek pinch red food color mix kar le or dusre bowl me green food color add kar ke mix kar le. Aap chahe to koi or color bhi use kar sakte hain.

Ek fresh tbooth brush lekar usko pehle red color me dip karke pede per red color se garnish kare. Brush ko wash karke green food color me dip kare or pede ko garnish kare.

Kesar ke dhago se garnish kare. Aapka kesri peda surve karne ke liye ready hai. 

No comments:

Post a Comment