Sunday 4 December 2016

BREAD KACHORI

Kachori North India ki ek famous snack hai. Kachori ko bahot sare difference flavour or stuffing ke sath hum banate hain. Like moond dal kachori onion kachori masala kachori khasta kachori etc.
Kachori ke in sab flavours me se ek hai bread kachori. Crispy and crunchy cover but soft and spicy stuffing ka combination bahot he tasty and crispy hota hai. Waise to hum kachori me bahot sari alag alag stuffing use karte hain but aaj hum jo stuffing apni bread kachori ke liye use kar rahe hain wo hai green peas coriander ki stuffing.
Bread kachori making process bahot he easy hai. Jab bhi jhutpat kuch yummy khana ho ye bread kachori jaroor try kare.

INGREDIENT

Bread slice - 4
Grean peas - 1 cup
Potato - 1 boiled
Green chilli - 2
Coriander leaves - 3 tsp
Ginger paste - 1/2 tsp
Coriander powder - 1/2 tsp
Garam masala - 1/3 tsp
Black paper powder - 1/4 tsp
Turmaric powder - 1 pinch
Dry mango powder - 1/4 tsp
Salt - as per taste
Oil - for stir fry

METHOD --

Sabse pehle ek mixer jar me green peas green chilli or coriander leaves ko add kar ke roughly bland kar ke bowl me nikal le.

Green peas coriander mixture me boiled mashed potato salt coriander powder garam masala dry mango powder black paper powder turmaric powder add kar ke achi tarah se mix kar le. Kachori ke liye humari filling ready hai.


Bread slices ko sides se cut kar ke hard layer nikal kar alag kar le. Bread sides ko aap dry jar ke powder bana kar store kar sakte ho next time cutlets kababs ko coat karne ke liye aap un bread crumbs ko use kar sakte ho.

Kachori banane ke liye bread slice ki water ne 2-3 second ke liye soak kar ke hath se press kar ke extra water nikal le. Ab bread ke center me ek tsp peas potato ki stuffing rakh ke bread ki sides se fold kar ke roll kar le or kachori ready kar le. Sare slices ko aise he stuff kar ke roll kar le.

Ek pan me oil garam kare. Because hum kachori ko stir fry kar rahe hain so maine kachori fry karne ke liye 1 cup oil ka use kiya hai. Hot oil me kachori add kar ke dono sides se crisp or golden hone tak stir fry kar le.

Our hot spicy and crispy bread kachori ready hain. Green chutni meethi chutni or curd ke sath surve kare. Aap ise as  kachori chaat bhi surve kar sakte hain.

No comments:

Post a Comment