Sunday 11 December 2016

GAJAR KA HULWA


Gajar ka hulwa ko Himachal or punjab me gujrela ke naam se bhi jante hain. Gajar hulwa mostly North India me Punjab Haryana Delhi Himachal or pakistan ki ek famouse desert hai jise carrot pudding ke naam se bhi jante hain. Gajar or gajar ka hulwa ek healthy or low fat sweet dish hai jise mostly hum winters me he banate hain.
Gajar ka hulwa ki starting Mughal period me hui jinhone ek sweet banayi jiska naam unhone hulwa diya jo ki gajar ke sath banaya gaya tha or tabhi se is desert ka naam gajar ka hulwa pada.
Every winter humare ghar me gajar ka hulwa ek bade se kadai me banta tha jisme atleast 10ltr milk hum use karte the weinters ke liye gajar ka hulwa banane ke liye. Mumma har saal winter start hote he gajar ka hulwa banati thi. Or jo hume itna pasand hota tha ki hulwa banne se pehle he mai use taste karne ke naam per 2-3 baar kha leti thi 😝
Because gajar ka hulwa banante time usme milk and gajar sath me he dal ke use cook karte the so us process me time bahot lagta tha or specialy mai... hulwa khane ke liye itna wait kabhi nahi kar sakti so maine gajar ka hulwa jaldi banane keliye instant gajar hulwa try kiya jo taste me bahot he achaa hai or time bhi bahot kum lagta hai so ab jab bhi hume gajar ka hulwa khane ka dil kare is instant recipe ke sath hum kabhi bhi gajar ka hulwa enjoy kar sakte hai.
Instant gajar hulwa banane ke liye hum milk ko khoya or condense mile ke sath replace kar dete hai. Khoya or milkmaid ke sath bhi gajar ka hulwa utna he tasty hota hai jitna milk ke sath banane me.

INGREDIENT

Carrot - 1kg
khoya - 1 cup
milkmaid - 1 cup
Ghee - 200 g
Sugar - 1 cup or according to your taste
Almond - 10-15
Cashew - 20-22
Rainse - 12-13
Chironji - 2 tsp
 

METHOD --



Gajar ka hulwa banane ke liye sabse pehle gajar ko achi tarah se wash kar ke saaf kar le then cgajar ko food chpper or grater ki help se grate kar le.


Ek heavy bottom ki kadhai ko garam kare. Kadhai garam hone ke baad usme ghee or gajar add kar ke mix kare. Gajar ko half cook hone tak continue stir karte hue cook kar le.


Gajar ke half cook hone ke baad usme khoya or sugar add kre or achi tarah se stir karte hue cook kar le. Gajar ko cook akrte time gas flame ko midium he rakhe.



Jab gajar 90% cook ho jaye to usme milkmaid add kare or achi tarah se mix  kar ke gajar ko cook kare. Gajar ke cook hone ke baad gas flame off kar de.


Garam garam gajar ka hulwa ready hai. Dry fruits se garnish kare or surve kare.

No comments:

Post a Comment