Thursday 22 September 2016

CHEESY NACHOS



Have leftover chapati ? But don't wanna eat leftover food... So don't worry.. Mere paas hai is common problem ka ek yummy crispy and cheesy solution.
Mostly hum sab ke ghar me dinner or lunch ke baad kuch chapati bach jati hain but koi bhi us leftover chapati ko khana nahi chahta to use hum use fek dete hain. But aaj mere paas hai is problem ka ek crunchy solution. Aaj hum bana rahe hai cheesy nachos wo bhi leftover roti ke sath.
Hum ise leftover roti ke sath bana rahe hain but agar aapke paas leftover roti nahi hai to aap ise fresh chapati ke sath bhi bana sakte hain.
So let's start cooking..

INGREDIENT

Chapati - 1
Salt - as per your taste
Black paper powder - 1/3 tsp
Red chilli powder - 2-3 pinch
Chaat masala 1/4 tsp
cheese - 2 tsp
Oil - for deep fry


METHOD --


Ek chapati ko knife or pizza cutter ki help se half cut kar le. Then dono half parts ko double kare or fir se cut ksr le. Isi process ko repeat karte hue roti ke eight parts bana le. Roti ko triangle shape me cut kare.



Ek pan me oil garam kare or 3-4 triangle add kar ke dono sides se golden or crispy hone tak fry kar le. Sare pieces isi tarah se golden fry kar ke kitchen paper per nikal le. Agar aap deep frh nahi karna chahte to aap ise preheated oven me 180degree per 10 minute ke liye bake kar sakte hain.


Fried nachos per salt red chilli black paper chaat masala sprinkle kare or cheese grate kare. Cheese grate karne ke baad microwave me 1 minute ke liye bake kar le.



Aapke hot and crispy nachos ready hain. Ise tomato sauce or meyonnaise ke sath surve kare.

No comments:

Post a Comment