Tuesday, 27 September 2016

DAL TADKA





Jab bhi hum kahin bahar khana khane jate hain kisi dhaba ya restorent me to hum sabki sabse pehli chioce hoti hai... Punjabi style dal tadka. Chana dal ek spicy se tadke or dher sare ghee ke sath.

Punjaab or haryana ki famous tadka dal sabhi ko bahot pasand hoti h or jo diet or ghee se dhoor nai bhagte ye unke liye to khane ki first choice he hoti hai.

Meri family me bhi sabko ye dal bahot pasand hai. Week me ek ya do baar to humare ghar me ye dal banti he hai. Banane me ek dum easy or khane me utni he jyada tasty.

Ghar me guest aa rahe hain ya fir kuch special banane ka mood hai to is se easy or tasty choice shayud kuch or ho he nai sakti. Whole masale isko ek alug he rich taste or aroma dete hain to ghee or chana aapki health ke liye ache hote hain. Jaisa ki humare Haryana or punjaab me mana he jata hai ghee ko best.
To agar aap bhi dieting se door he rehte ho meri tarah to ye dal tadka jroor try kijiye...


INGREDIENT


Split bengal gram/chana dal - 2 cup
Onion - 2
Tomato - 2
Red chilli powder - 1tsp
Garam masala - 1tsp
Coriander powder - 1tsp
Turmeric powder - 1/2 tsp
Ginger - garlic - 2tsp
Salt - as per taste
Cumin seeds - 1/2 tsp
Black paper powder - 1/3 tsp
Pomegranate seeds powder - 1/3 tsp
Cinnamon powder - 1/3 tsp
Coriander leaves - 2 tsp
Ghee - 2 tsp

For tadka -
Ghee - 3-4 tsp
Red chilly - 2
Cumin seeds - 1tsp
Cinnamon stik - 1inch
Asafoetida - 1/4 tsp
Black paper - 5-6
Bay leaf - 1
Clove - 3-4
Green cardamon - 2
Red chilli powder - 1/4 tsp
Black cardamom - 1


MEHTOD --

 dal ko wash karke soak kr ke rakh le. Agar jaldi me hain or itna time aapke paas nahi hai to garam pani me 3-4 hours ke liye bhigo kar garam jagah per rakh de. Garam pani me soak karne se aapki dal thode time me bhi achi tarah se soak ho jaegi.


 Cooker me dal me thoda sa salt or ek pinch huldi mix karke 2 glass pani dal kar achi tarah se boil kar len. Mere cooker me dal ko soak karne ke baad ek he whistle kafi hoti hai dal ko boil karne ke liye.
 Ab ek heavy kadhai me ghee garam kar len.

 Ghee garam hone ke baad jeera add karen or color change hone tk tadka le.


 Ginger garlic add kre. Maine ginger garlic ka paste nai banaya hai. Is dal ke liye hum ginger garlic ko cut karke he use krenge. Khuki hum isko jitna bada cut krenge humare khane me taste bhi uthna he jyada aata hai.


 Garlic ki raw smell jane tak usko hum paka lenge or onion add kar k usko bhi hum color change hone tak cook karenge.


 Onion ka color change hone ke baad hum tomato add krenge or mix karke 1-2 minute tak cook kar lenge.

 Ab time hai isme masale add karne ka. Sare masale add karke tab tk cook karenge jab tak masale or ghee alag alag na hone lage.


 masale cook hone ke baad hum isme boil ki hui dal hara dhaniya or 1 cup pani add karke mix karenge or 3-4 minute tak cook kar ke gas off kar denge. Dal ko survinvg bowl me nikal lenge.

Ek tadka pan ya normal pan me 3-4 tsp ghee garam karke hum usne whole spices add karenge or high flame per 1 minute tak cook kar lenge. But masale ko jalana nai hai sirf color change hone or rich aroma aane tak cook karna hai.


Ready kiye tadke ko direct dal ke upar daal kar dal ko 20 minute ke liye cover kar denge taki tadke ka aroma dal me achi tarah se mix ho jaye. Aapki spicy dhaba style dal tadka surve karne ke liye ready hai.

No comments:

Post a Comment