We all love ice cream so much. And mere appa and bhai ko pineapple bahot pasand hai so maine socha ki kyu na unko home made icecream wo bhi unke favorite flavour me khila kar surprise karu :)
So aaj maine unke liye ghar per he ek easy way me pineapple icecream ready kar ke surve ki. And un dono ko he meri banayi hui icecream bahot pasand aayi.
Maine amul cream or pineapple essence ke sath icecream banayi jo bahot he yummy thi. And i hope ke aap sab ko bhi ye fruit icecream pasand aaegi.
Here's the recipe ---> --->
INGRIDIENT
Fresh cream - 200 g
Pineapple essence - 4-5 drops
Icing sugar - 4 tsp
Tutty fruity - 2 tsp
Yellow food color - 1 pinch
MEHTHOD --
Amul cream ko ek large steel bowl me pour kar le. Ek electric blander ki hekp se cream ko 4-5 minute ke liye wheep kar le.
4-5 minute tak wheep karne ke baad cream me pineapple essence and icing sugar add kar ke mix kar le. Icing sugar or essence mix karne ke baad again 3-4 minute ke liye ke wheep kar le.
Yellow food color add kare or again 3-4 minute ke liye whisk kar le. Cream ko total 10-15 minute ke liye wheep karna hai is se jyada wheep karne se creem se fat alag hone lag jaega.
Cream ko disposal glasses or icecream mold me pour kare or rose pan and pineapple flavour ki red yellow or green color ki tutty fruity add kar ke mix kar le. Glasse ko 3-4 hour ke liye refrigerator me rakh de.
Icecream ke set hone ke baad red yellow or green tutty fruiy se garnish kare or chilled surve kare and enjoy kare homemade pineapple icecream.
No comments:
Post a Comment