Aaj Navratri ka fifth day hai. Or aaj ke bhog kr dinner ke liye hum bana rahe hain sabudana vada. Sabudana vada ko hum mostly navratri me fast ke liye banate hain. Potato or penut powder ke sath bane ye sago vada bahar se crispy crunchy or andar se soft and spicy sago vada bahot he tasty hota hai. Navratri ke in 9 dino me atleast 4-5 time to vade banaye he jate hain.
Waise to sabudana vada ek maharastra ki dish hai but pure india me ye dish bahot famous hai. Tomato chutni ya mint coriander chutni ke sath surve kiya jane wala sago vada sabko he pasand hoga. Meri mum ko bhi bahot pasand hai. During navratri ye unki first choice hoti hai bhog or dinner ke liye.
Sabudana vada Banane me bhi easy hota hai or time bhi jyada nahi lagta. Sago ko soak kar ke potato or penut ke mixture se banne wala vada sirf 10 minute me he ready ho jata hai. To navratri ho ya koi other special moment ho aapke har meal ko or special banane ke liye sago vada bahot acha option hai.
INGREDIENT
Sago - 1 cup
Potato - 2
Penut powder - 1/2 cup
Green chilli - 2
Black paper powder - 1/2 tsp
Rock salt - as per taste
Coriander leaves - 2 tsp
METHOD --
Sabudana ko running water me wash kar ke 2-3 hour tak 2 cup pani me soak kar le. Sago se extra pani nikal kar ek bowl me dal le. Boiled or mashed potato salt green chilli black paper powder coriander powder penut powder add kar ke hath se achi tarah mesh karte hue mix kar lenge or vade banabe ke liye mixture ready hai.Ready kiye mixture se same size ke balls bana kar unko vade ki shape de denge. Aap chahe to ise round star ya koi b apni pasand ki shape de sakte hain. Sare vade ready kar ke ek plate me rakh lenge.
Ek pan me oil garam kar le. Oil ko pura garam hone ke baad he hum vade fry karenge otherwise vade bahot jyada oily ho jaenge or ache bhi nahi banenge. Oil garam hone ke baad 2-3 ya jitne aapke pan me ek baar me aaram se aa jaye htne vade dal k deep fry kar lenge. Dono taraf se golden or crisp hone tak fry kar lenge.
Fry kiye vado ko kitchen paper per nikal kar extra oil kitchen paper per soak hone denge. Agar aap deep fry nahi karna chahte ya extra oily nahi chahte to heavy tawa per thoda oil garam kar ke vada ko tikki ki tarah bhi aap stir fry kar sakte hain.
Garam garam crispy sago vada surve karne ke liye ready hai. Dahi mint ciriander chutni ya tomato chutni ke sath surve kare.
Happy Navratri
No comments:
Post a Comment