Tuesday 4 October 2016

STUFFED POTATO RICE BALL


Waise to aajkal navratri chal rahi hai so hum vart wala khana he  khate hain. But bahot se log aise bhi hain jo fast nahi karte. Hum unko kaise bhool sakte hain ;)

Un sab ke liye jinka fast nahi hai hum lekar aaye hain ek tasty easy or jhutpat ready hone wali dish. Bahar se crisp or andar se cheese ki surprise flood.

Ghar per bina btaye he koi guest aa jaye ya jhatpat kuch yummy khane ka dil kare to ek baar ye dish jaroor try kijiye. Mere paas raat ke kuch plane rice bache hue the to socha kyu na in leftover rice se kuch new try karu. To maine banaye ye potato rice ball cheese ki filling ke sath. Sirf 10 minute me he ready ho gye or ghar me bhi sabko bahot jyada pasand aaye. Ab se maine to decide kar liya hai ki aaj je baad rice ko kabhi waste nahi krungi. Waste kare bhi kyu jab itna yummy solution hai humare paas.

To socha aap sab ke sath bhi share karu. I am sure ki aap sab ko bahot pasand aaega or aap apni family friends or guest ko apni cooking se bahot impress kar sakte ho.
So here's the recipe..

INGREDIENT

Rice - 1 cup boiled
Potato - 1 cup meshed
Grean peas - 2 tsp
Gram flour - 2 tsp
Green chilli - 1
Red chilli powder - 1/2 tsp
Dry Bread crumbs - 1 cup
Ginger paste - 1/2 tsp
Coriander powder - 1 tsp
Garam masala - 1/2 tsp
Salt- as per taste
Cheese - for stuffing
Oil -for deep fry


METHOD --

 Ek bowl me plane rice meshed potato besan or dry spices add karke achi tarah se hath mash kar ke dough bana le. Dough ko ekdum soft hone tak mesh kare. Isme almost 7-8 minute tak ka time lagta hai.

 Dough ke soft hone ke baad usme blanch ki hui green peas add kar ke mix kare. Agar aap frozen peas use kar rahe hain to direct add kar sakte hain. Rice balls banane ke liye humara mixture ready hai.
 Ready kiye mixture se lemon size ke ball nikal kar hath se press kar ke chapta kar le. Center me ek cheese ka tukda rakh kar hath se round shape dekar ball bana le. Sare balls aise he cheese stuff kar ke ready kar le.

Ek plate me dry bread crumb le. Ready kiye hue balls ko is bread crumb me roll kar ke achi tarah se coat kar le. Sare balls ko bread crumb ne roll karke 4-5 minute ke liye rakh de.taki bread crumbs ball per achi tarah se set ho jaye or oil me nikle nahi.

 Ek kadhai me oil garam kare. Oil garam hone ke baad usme ready kiye hue balls ko half half kar ke fry kar le. Ek baar me jyada balls ko fry na kre. Otherwise oil ek dum se thunda ho jaega or hmare oil crispy nahi banenge or oily bhi ho jaenge.

 Balls ko 3-4 minute tak upar se crisp or golden hone tak fry kar le. Sare balls isi tarah se fry kar ke kitchen paper per nikal le or extra oil ko paper per niklne de.

Humare crispy and cheesy potato rice balls ready hain. Green chutni or tomato sauce ke sath garam garam surve kare. 

No comments:

Post a Comment