Sunday, 20 November 2016

BALUSHAHI

Balushahi ek bahot he famous indian sweet hai. Jise hum mostly kisi wedding ya festival per banate hai. India me to balushahi famous hai he iske sath he Bangladesh or Nepal me bhi ye bahot he famous sweet hai.
Mere father ko balushahi bahot jyada pasand ho. So i thought ki kyu na mai balushahi ghar per he try kru. So maine unke liye ghar per he balushahi banayi jo taste me to achi thi he sath me healthy bhi thi.
So i am here with this easy and sweet recipe of balushahi...

INGREDIENT

For dough -
All purpose flour - 250 g
Curd - 1 cup
Ghee - 1/2 cup
Baking soda - 1/2 tsp
Luck warm water - as required
Ghee/oil - for deep frying

For sugar syrup -
Sugar - 1 cup
Water - 2 1/2 cup

METHOD --



Dough banane ke liye ek bowl me maida ghee dahi or baking soda add karke achi tarah se mix kar le. Luck warm water ke sath soft dough bana le.


Dough ko cover karke 1-2 hour ke liye set hone ke liye rakh de. Aap dekhenge ki aapka dough  is rest ke baad size me double ho gya hai it means ki aapka dough balushahi banane ke liye ready hai. But agar aapka dough rise kr fuffy nai hua hai it means abhi aapka dougb ready nai hai so aap use kuch extra time ke liye rest de.

Ready kiye fluffy dough se equal size ki balla bana kar unko balushahi ki shape de. Traditional balushahi ki look dene k liye ball ke center me finger se ek chota sa well bana de.
Sare balls ko isi tarah se shape de kar rakh le.

Ek pan me ghee garam kare. Ghee ke achi tarah se garam hone ke baad half half ke batches me balushahi ko deep fry kar le. Remember that balushahi ko fry karte time aapko gas flame low io midium he rakhni hai other wise aapki balushahi bahar se cook ho jaengi or center se kachi reh jaengi. Balushahi ke golden or crispy hone tak fry kare or tissue paper per nikal kar thundi hone ke liye rakh de.

Jab tak aapki balushahi thundi hoti hain let's make sugar syrup. Ek kadhai me sugar or water add karke ek tar ki chasni bana le. Chasni ko check karne ke liye ek plate me syrup ki kuch drops nikal kar thundi kare then finger ke beech me drop laga kar check kare ki aapki chasni ready hai ya nai.

Chasni ke ready hone ke baad sari fried balushahi ko is chashni me soak kare or 20-25 minute ke liye cover kar ke rakh de.

Chasni se nikal kar balushahi koek badi plate me nikal kar alag alag kar ke fan ke niche 3-4 hour ke liye dry hone ke liue rakh de.

Aapki super soft fluffy and crispy balushahi surve karne ke liye ready hain. Aap inhe airtight container me store karke bhi rakh sakte hai.

No comments:

Post a Comment