Sunday 27 November 2016

GULAB JAMUN KI SUBJI

Gulab jamun ko as a sweet to hum sabne bahot baar khaya hai. But aaj hum is sweet ko de rahe hain ek rich and spicy twist. Aaj hum bana rahe hain gulab jamun ki subji. Sound different na.. Jab first time maine ek cooking show me is dish ke bare me suna tha to mujhe bhi bahot he confusing laga tha. Then i thought ki mujhe bhi is unique dish ko try karna hai. Jaipur ke home kitchen se nikal kar Rajasthan ke shahi kitchen tak pahuchi ye dish bahot he rich and shahi flavour wali hai.
Khoya balls ko ghee me deep fry karke kaju or tomato ki greavy ke sath surve kiya jata hai. Is dish ko humne without onion or garlic ke banaya hai. Whole masalo ke flavour or kaju ku richness is dish ko ek alag high level per pahuchata hai.
Is dish ki process ko humne two steps me divide kiya hai. First step me hum bana rahe hain gulab jamun and second step me hum kaju or tomato ki greavy bana rahe hain... So let's start...

INGREDIENT 

For gulab jamun -
Khoya - 150 g
All purpose flour - 2 tsp
Ghee - for deep frying

For greavy -
Tomato - 3
Kaju - 18-20
Khoya - 1tsp
Green chilli - 2
Red chilli powder - 1/2 tsp
Turmaric powder - 1/2 tsp
Salt - as per taste
Coriander powder - 1 tsp
Garam masala - 1 tsp
Ginger powder - 1/3 tsp
Dry fenugreek leaves - 1 tsp
Bay leaf - 1
Cinamon - 1 inch
Clove - 4
Black paper - 7-8
Black cardamom - 1
Green cardamom - 2
Mace - 1
Ghee - 2
Green coriander leaves - for garnish

METHOD --



Ek bowl me khoya or maida ko mix karke achi tarah se hath se mash karke dough ready kar le. Ready kiye dough se choti choti equal size ki balls bana le.

Ek kadhai me gulab jamun fry karne ke liye ghee garam kare. Ghee ko hime full flame per heat karna hai but gulsb jamun fry karte time flame ko low rakhna hai.


Garam ghee me 3-4 balls ek baar me add karke slow flame per golden hone tak fry kare. Balls ko fry karte time ghee ko spoon se balls ke upar hilate rahe balls ko touch na kare.

 
Sare gulab jamun ko isi tarah golden hone tak fry karne ke baad kitchen paper pe nikal kar rakh le. Humare gulab jamun greavy me jane ke liye ready hain.

Second step ko start karne se pehle  kaju ko warm water me soak kar ke rakh de. 20-25 minute ke baad  2 tsp water ke sath kaju ka paste bana le.

Same jar me tomato or green chilli add karke ek smooth paste bana le.

Ek pan me ghee garam karke usme whole masale add kare or nice aroma aane tak saute kar le.

Whole masale cook hone ke baad pan me tomato green chilli paste or powdered masale add kr ke 4-5 minute tak cook kar le.

Tomato masale cook hone ke baad kaju paste add kre or acbi tarah se mix kare. Agar jroort lge to thoda water add kar sakte hain.


Greavy ke cook hone ke baad khoya or gulab jamun add kre or 2-3 minute tak cook kare.

Dry fenureek leaves add kar ke mix kare or gas flame ko off kar de.

Aapki shahi gulab jamun ki subji surve karne ke liye ready hai. Hara dhaniya ki leaves ke sath garnish kar ke surve kare.

No comments:

Post a Comment